Saturday, December 04, 2010

Waqt...

Bahut waqt kebaad yahan aayi mei.. na jane kyun aayi.. kuch bikhri yaadein yaad aayi.. kuch guzre lamhe muskaye....
Kitne saal guzar gaye tumko mujhse door hue.. fir bhi kabhi es dil se tum juda na hue.. kabhi tumne maaf kiya to kabhi maine bhula diya.. kabhi udasi ne ghera to kabhi mayusiyon ne rula diya.. kabhi tum roothe to maine mana liya.. darti thi mei kaise jee paoongi tumhare bina.. aadat se ho gayi thi tumhari.. pyaar jo karti thi tumse.. tumhare bin sab adhoora sa lagta tha.. ek khalipann ..baichain kar jata tha.. lagta jaise yeh ghav kabhi bharega nahi.. yeh dard jo tumne diya kabhi kam hoga nahi.. yu hi hamesha tadpayega.. mann kehta tha jane na do.. rok lo.. dil tootta hai tootne do.. dukh hota hai hone do.. par usko jane na do.. kitni nadan thi mein.. udate badal ko kaon kaha rok paya hai.. aur tumhara dil bhi to koi usse kam nahi.. aaj yaha.. kal vaha.. parson ka pata nahi.. tumhari har khushi ko jiya maine.. har dukh ko gale lagaya hai.. lekin jab bhi maine tumhara sath chaha ..kaha tumhae waqt mil paya hai.. do pal baat karne ki bhi fursat nahi rahi.. aisa kyon hai ki tumhae mera zara bhi khayal nahi.. koi to lamha tumhare dil ko bhi kamzor karta hoga.. kabhi to tumhara dil bhi rota hoga.. sochkar ki tumne mujhae kitna sataya hai.. pal pal ke woh jhoot.. woh aadhi adhoori baatein.. aur un sabke beech woh kuch pyaar ki yaadein.. woh tumhari hasi salon pehle suni thi kabhi.. aaj tak yaad hai.. har ek baat yaad hai.. pata nahi kyon bhoolti nahi.. lekin ab bhoolne lagi hoon mein.. nahi woh baatein nahi.. tumko bhoolne lagi hoon mei.. jaise tum bhula chuke ho mujhae.. ya phir shayad aadat se ho gayi hai ab.. tumhare bina jeene ki.. kho diya hai tumne mujhae duniya ki bheed mei.. lekin darti hoo kahi ye tumhari duniya hi na tumko bhula de kabhi kahi.. agar kabhi aisa ho.. to mujhae yaad karna tum.. vada raha mei tumhae kabhi bhoolongi nahi.. raahein badal jayein.. waqt badal jaye.. humsafar badal jayein.. lekin pyaar ..woh kabhi badalta nahi..
muskura lenge hum sochkar yahi.. ki tum khush ho kahi..
 
posted by faith at 10:33 AM, | 1 comments
free webpage counters